daaman e zabt bhigo dene ko ji chahta hai
itna tanhaa hoon k ro dene ko ji chahta hai
saans ki dor salamet hai abhi tak shayad
ab ye ahsaas bhi kho dene ko ji chahta hai
aik gumnam musafir ki tarah chupke se
khud ko is bheerr main kho dene ko ji chahta hai
ik rida khaak ki har dukh se dila de gi nijaat
khud ko matti main simoo dene ko ji chahta hai
dard aissa hai k marhum k bijaaye Sajid
dil main nishter sa chabo dene ko ji chahta hai
-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------