Gazal
******
Jo rahtey hain sada dil me, unhein dhoondha nahi kartey
Jo rach jaye rag-o-pey me, unhein socha nahi kartey
Baharon ke ghaney saye me talkhi bhi chubhan bhi hai
Ghamon ki dhoop ka tumsey magar shikwa nahi kartey
Nahi aatey kabhi bhi laut kar guzrey huye mausam
Barstey badlon ki aas me tarsa nahi kartey
Tajassus aur barhta hai, machal jatey hain sun kar hum
Achanak pyaar ki baaton ka rukh moda nahi kartey
Teri nazr-e-inayat se huye jatey hain jo ghayal
Unhein qaatil nighahon se kabhi dekha nahi kartey