Search More

Loading

Hindi Urdu Poetry - ab aansuo ko aankhon mein sajanaa hoga


dhoop ke saath gaya saath nibhane wala,
ab kaha lout ke aayega wo mujhse door jane wala.
ret par chhod gaya naqsh hazaro apne,
kisi pagal ki tarha naqsh mitane wala.
sabz sakhein kabhi aise nahi cheekhti,
kaun aaya hai pareendo ko darane wala.
ab to aaram kare sochti aakhein meri,
raar ka akhiri tara bhi hai ab jane wala....

----------------------


ab aansuo ko aankhon mein sajanaa hoga,
chiraag bujh gaye khud ko jalanaa hoga.
na samajh ke tujhse beechhad ke khush hai,
hume to logo ki khatir muskuranaa hoga.
lahu se apne kafan pe tera naam likh jaoonga,
...thaam ke hatho mein phool tumko aanaa hoga.
abhi se na kijiye takaze mashroofiat ke aap,
abhi uthna hai janaza to kandha to denaa hoga.....

---------------------

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home