Search More

Loading

Hindi Urdu Poetry - ek bhujhta hua diyaa hu mujhe bhool jayie


ek bhujhta hua diyaa hu mujhe bhool jayie,
bas thahra hua dariyaa hu mujhe bhool jayie.
tamam jindagee main maut se bhagta raha,
ab main thak gayaa hu mujhe bhool jayie.
na manjil milegi koi na hi koi maud aayega,
main ek aisa rastaa hu mujhe bhool jayie.
muddato jalta raha hu main aapki judaee mein,
suraj tha dhal chukaa hu mujhe bhool jayie....

------------------


ret pe likh ke uska naam mitayaa na karo,
aankhein sach bolti hai pyaar chhupayaa na karo.
loag har baat ka afsaana bana lete hai,
sabko halaat ki rudaad sunayaa na karo.
ye jaruri nahi ki har shaks masihaa hi ho,
pyaar ke zakhm amanat hai inhe dikhayaa na karo.
shahar-e-ahsaas mein pathrav bahut hai,
dil ko sheeshe ke jharokhe mein sajayaa na karo....


-----------------------------

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home