Search More

Loading

Hindi Urdu Poetry - Marne ke bad meri ye kahani likhna


Marne ke bad meri ye kahani likhna
Kaise huee barbaad meri ye jawani likhna.
Ye likhna usey intizar bahut tha kisi ka,
Aakhri saans ki kaise huee rawani likhna.
Jo qasmein khaee thi pyaar mein usne,
Un qasmoon ka kya huaa us per mehbani likhna.
Ye bhi likhna ke uske labb khushi ko taras gay hain,
Aur Kitna barsa un Aankhon se pani likhna.
Aur ye bhi likhna duaa deta tha har waqt tujhe
Bahar tha kafan se haat ye nishani likhna….. ......!!

-----------------

'' Mera di jalake hamesha muskurata raha wo,
meri chahat meri ulfat ko fasana banata raha wo...
wo to khud waakiff tha mere har ek raaz se,
apni har baat magar mujhse chhupata raha wo...
apne aap khud bada bewafaa tha magar,
kisse wafaaon ke sabko sunata raha wo...
tarq-e-ulfat ko to ek zamana ho gaya,
mere khawabo mein magar roz aata raha wo....

------------------------

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home