Ab yeh sochoon to bhanwar zehan mein parr jatay hain
Kaisay chehray hain jo miltay hi bichharr jatay hain
Kiyun tere dard ko dein tauhmat-e-veeraani-e-dil
Zalzalon mein tau bharay shehar ujarr jatay hain
Mausam-E-Dard mein ik dil ko bachaaun kaisay?
Aisi rut mein tau ghhanay ped bhi ujarr jatay hain
Ab koi kya mere qadmon k nishaan dhoonday ga
Taiz aandhi mein tau khaimay bhi ukharr jatay hain
Soch ka aaina dhundla ho to waqt k saath
Chand chehron k khad-o-khayal bigarr jatay hain
Shiddat-E-Gham mein bhi zinda hoon to hairat kaisi?
Kuch diye to hawaaon se bhi larr jatay hain
Woh bhi kiya log hain MOHSIN jo wafa ki khatir
Khud taraasheeda usoolon pe bhi arr jatay hain........!!!
-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------