mere dard-e-dil ki thi woh daastan
jise hansi mein tumne urra diya
jis se bach raha tha main sambhal sambhal kar
woh dard aaj phir tumne jaga diya
mujhe pyar ka shauk na raha
mere dost bhi hai sab bewafa
jo kareeb aaye to zikr hua
jo durr hue to bhula diya
woh jo milte the kabhi raat mein
gile hote the unki har baat mein
na woh dil raha na woh dost raha
mere khwaabon ko bhi sula diya
woh to kehti thi har baat mein
ke hum hi baste the unki zaat mein
main na jaan sakunga yeh kabhi
kyun mujhko dil se bhula diyamere
-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------