Phool bulbul ko, shama chahiye parwaaney ko
Ek zanjeer bahut hai tere deewaney ko
Shokh hontown pe tabasum ki gulabi chamki
Thamiye dil ke qayamat hay kaheen aaney ko
Jism ka jaan sey rishta hay bara hi nazuk
junbish-e lab bhi giraaN haey tere Deewaney ko
Akhri baar mere geet ki ley ban jaao
saz-e hasti hay kisi lamha bikher jaaney ko
Apney jazbaat ke aahoo ki tanaabeN khaincho
masti-e chashm-e ghazalaaN hay behak jaaney ko
Kuch tow deereena taluq ka bharam rakh letey
aap..gheroN ki tarah aaey hain samjhaaney ko
apney daaman mein inhen aap jagah dey di jey
chand aansoo they mere paas yahaN laaney ko
__________________
------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari
------------------------------------------