Har raat ko chaand ka sringar nahi milta
Har dali ko phoolon ka pyar nahi milta
Armaan bahut hoote hain iss dil mein par
Har kisi ko man chaha sansar nahi milta
Kasti too bahut firati haiN lehrooN meiN
Har kasti ko kinaroN ka pyar nahi milta
AshiyaN bikhar jate haiN halke jhokoN se
Har kisi ko chin sa atut deewar nahi milta
ye jeeavan khatoN se bhara ek gulab haiN
yaha har gale ko phooloN ka haar nahi milta
Geet bahut hote hain hontooN par jevan k
par har geet ko saaz ka wo dhar nahi milta
Ye zindagi chhalawa haiN,ek dikhawa haiN
Yaha kabi kisi ko ek sachaa yaar nahi milta
Hum ne yehi soch kar sabr kar liya haiN OMi
k yaha har insaan ko insaan ka pyar nahi milta
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------