Search More

Loading

Hindi Poetry - Dil mai hai dard ke toofaan kayi


Ae dost aaj tere sawaalon ke jawaab mai de na paai,
Kaise de deti tujhe wo jawaab jisme chhupi thi meri daastaane gum saari,
Dil mai hai dard ke toofaan kayi,
Aur aankhon mai hai summandar ka paani,
Na jaane kyon dard nikala na baahar aaj banke lafz meri zubaani,
Jaane kaise tu aaj samjha na mere khaamosh dil ki kahaani,
Kaise kar deti bayaan wo lamha jo guzara hai mujhpe,
Uasme to ae dost hoti mere Pyaar mere Dil-Bar ki ruswaai,
Samjhaaun kaise tujhe ki chaah kar bhi zubaan aaj tujhase kahe na paai ki,
Sanam ne hi mere mujhe aaj chot kaisi hai lagaai,

Samjha paati shaayad mai tujhe apane dil ki majburiyaan saari,
Bahe rahi thi jab mai apani hi aankh se hoke paani paani,
Uas waqt jaane kyon hoke khafa tune dosti mai humaari hai duriyaan badhaai,
Kaash ke dikha paati mai tujhe ae dost ki,
Dosti hai teri mujhe apani jaan se bhi pyaari,
Par dil se tere Aaj nikal jaae na koi Baddua mere Maheboob ke liye,
Yahi soch kar shaayad mai tere sawaalon ke jawaab de na paai,
Fir na samajh ke mujhako jaane kaisi ab tune mujhase yeh naraazagi hai dikhaai,
Khafa hone se pahele! Yoon mujhase rooth ne se pahele,
Kya ek baar bhi tere dil se koi awaaz na aai,
Khaamoshi ne meri kya dil pe tere koi dastak na lagaai,
Aaj tu chhod chala mujhe akeli uan halaat mai ae dost,
Jab Tinako mai bikhar rahi thi meri Duniyaa saari,
Par shaayad aaj jaake "Gudia" samajhi hai ki,
Har kisi ki hoti hai apani zindagaani,
Aur har zindagi ki hoti hai lamha lamha ek aur nai kahaani.


Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home