Search More

Loading

Hindi Poetry - Maana Ke Main Ameer Nahi


Badnaseeb Bhi Nahi Par
Mera Naseeb Bhi Nahi,
Maana Ke Main Ameer Nahi
Par Garib Bhi Nahi,
Dil Ki Gahraaiyon Mein
Chhipaya Hai jisey,
Woh Door Bhi Nahi Mujhse
Par Kareeb Bhi Nahi,
Chahta To Hoon Dena Usko
Khushiyaan Saare Jahan Ki,
Par Mil Jaayein Unke Gam
"Sam" Itna Khushnasib Bhi Nahi


*****************

Ek phool jo
mere haath mai hai
Tum chaaho toh
vo le sakti ho....

Khushbu hai isme
meri hasrat ki
Tum jitni chaahe
so le sakti ho....

Bheegi ho tum
baarish mai aaj kitna
De dunga main
saanso ki garmi
jo le sakti ho...

Hawaaon se na tum
koi shikayat rakhna
Kandhe pe sar rakhke mere
neend aaye jitni
so le sakti ho...

Tumahre chup honto pe
kitni saadgi jhalakti hai
Bane roz ek tasveer meri aankho mai
mohabbat ki tum
Wo le sakti ho.......

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home