Search More

Loading

Hindi Poetry - Dil mein ik chubhan si hai tum kaheen se aa jaao


Dil mein ik chubhan si hai,tum kaheen se aa jaao
Har taraf agan si hai,tum kaheen se aa jaao

Gam ki bheegi raaton mein apna dil nahin lagta
Aankh mein pawan si hai,tum kaheen se aa jaao

Ab khuli fiza mein bhi saans lena mushkil hai
Ab ajab ghhutan si hai,tum kaheen se aa jaao


Har khayal-o-khawab par murdani si chhaayi hai
Rooh par shikan si hai,tum kaheen se aa jaao

Hijr k andheron mein intezaar hai tera
Dil mein ik kiran si hai,tum kaheen se aa jaao

Shaam-E-Wasl k ghunghru naachtay hain sochon mein
Phir wohi chhanan si hai,tum kaheen se aa jaao

Kya kahun is ishq mein mujh pe kiya guzarti hai?
Tann mein ik dukhan si hai,tum kaheen se aa jaao

Baagh-O-Gul bhi gair hain,dasht bhi paraaye hain
Zeest bay watan si hai,tum kaheen se aa jaao

Janay kitni raaton se muztarib sa hoon Sam
Janay kya lagan si hai,tum kaheen se aa jaao....!!!



-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home