Na Koi Rang Na Haathon Pe Hina Merey Baad
WO Mukammal Hi Siya Posh Huwa Merey Baad
Le Ke Jata Raha Har Shaam Wo Phool Or Chirag
Bas Yahi Us Ne Kiya, Jitna Jiya Merey Baad
Roz Ja Kar Wo Samandar Ke Kinarey Chup Chaap
Nao Kagaz Ki Bahata Hi Raha Merey Baad
Us Ke Honthon Se Mera Naam Nikal Jata Tha
Jis Ne Apnaya Usey Chhor Diya merey Baad
Main Ne Girney Na Diye They Kabhi Aansoo Uske
Shayad Is Wastey Wo Roo Na Saqa Merey Baad
Main Bhi Waisa Na Raha Us Key Bichhar Janey Se
Koyi Us Ko Bhi Na Pahchaan Saqa Merey Baad
Sari Duniya Ne Usey Maal-e-Ghanimut Samjha
Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Huwa Merey Baad
Us Ka Hasna Mujhey Bhata Tha So Wo Shakhs Sam
Baal Kholey Huye Hansta Hi Raha Merey Baad.....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------