Search More

Loading

Gazal - Meri Manzil Hai Kidhar Kuchh To Pata Do Mujhko


Ek musabbir ki tarah itna bata do mujhko!
Meri manzil hai kidhar kuchh to pata do mujhko!
Main kisi kaam ka patthar na sahi phir bhi mujhe,
Apni fankaari se hi kuchh to bana do mujhko!
Paav ki thokaron ne likh diya taqdeer meri,
Tum hunar apna dikha karke saja do mujhko!
Hausley tootey 'Adab' raah mein baithe-baithe,
Aik ehsaas mein doobi si sadaa do mujhko!!


*******************

Patthar ko shiqwa hai patthar se


Patthar ko shiqwa hai patthar se
mein kyon ronda jaaon pairon talay
tumko bana kar murti puja teri
mujhe bicha kar farsh par thokar maari

pathar ko shiqwa hai pathar say

murti nay hansa kar bayan kiya
meinay sahi har chot jo mujhe par kiya
tum bikhar gaye ek hi waar say
mein nikhra har chot dhaar say

pathar ko shiqwa na raha pathar say
woh bhi sahega waar ab tan man pay...


-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home