Search More

Loading

Kuchh to aisa mile jo mukammal ho


Zindagi se hum kuch yun mile
Jiase paani me uthte hain bulbule

Kabhi khamosh samandar
ki tarha the hum

To kabhi masoom bacche
ki tarha chulbule

Mile nahin hum kabhi
rahaton ke saye se

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Main Tere Kareeb Aate Aate


Labzon Ke Azaab Sahe Rahi Hoon,
Main Apne Wajood Ki Saza Hoon,

Zakhmon Ke Phool Khil Rahe Hai,
Khushbu Ke Hajoom Mein Khadi Hoon,

Is Dasht-E-Talab Mein Ek Main Hi,
Sadiyon Ki Thaki Hui Sada Hoon,

Benaam-O-Numood Zindagi Ka,
Ek Bojh Uthaye Phir Rahi Hoon,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Aaj tum khwabon ko sajaane chale aao


Barasat ka intzar na karo maree palakon ke neeche chale aao.
Bewaqt ke asnssoyon ki jhadi bhar di judai ne.
Aaj tum bhi is mein khud ko beegone chale aao.

Muhabaton ki waddiyon mein muskurane chale aao
Chand raaton ke khwab sajaaye the saath milkar
Aaj tum khwabon ko sajaane chale aao

Mahndi ki rangat bulaye tum chale aao
Mudatt se intazaar hai koi manng bhare sanam
meri sooni maang ko sajaane chale aao........

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Kabhi Kabhi Ye Zindagi - Hindi Poetry


कभी कभी ये ज़िन्दगी ऐसे हालातों मे फंस जाती हे
चाह कर भी कुछ नहीं कर पाती है
आसूं तो बहते नहीं आँखों से मगर रूह अन्दर ही रोती जाती है
हर पल कुछ कर दिखने की चाह सताती है
सख्त हालातों की हवाँ ताब-औ-तन्वा हिला जाती है

कभी-कभी ये ज़िन्दगी ऐसे हालातों मे फंस जाती है
रहती है दवाम जिबस उस मंजिल को पाने मे
फिर भी 'यासिर' की तरह एक बाज़ी हार जाती है
रह जाती है एक जुस्तुजू सी और एक नया इम्तेहान दे जाती है
जुड़ जाती है सारी कामयाबियां एक ऐसी नाकामयाबी पाती है

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Chupke Chupke Fariyaad Kiya Karte Hai


Apko Bhul Jaun Umr Gujrne Ki Bat Hai
Aapko Nahi Yakin Ye Aur Bat Hai
Jab Tak Rahegi Sans Tab Tak Rahoge Yaad
Ye Sans Tut Jaye To Aur Bat Hai !!

Chupke Chupke Fariyaad Kiya Karte Hai
Raat Din Aapko Yaad Kiya Karte Hai
Ye Hum Nahi Kahete Gharwale Khete Hai
Hum Nind Me Bhi Aapka Naam Liya Karte Hai !!

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Guzar Raha Hai Waqt Guzar Rahi Hai Zindagi - Hindi Poetry


गुज़र रहा है वक़्त गुज़र रही है ज़िन्दगी
क्यूँ न इन राहों पर एक असर छोड़ चले

पिघल रहे है लम्हात बदल रहे है हालत
क्यूँ न इस ज़माने को बदल दे एक ऐसी खबर छोड़ चले

कोई शक्स कंही रुका सा कोई शक्स कंही थमा सा
क्यूँ न एन बेजान बुतों में एक पैकर छोड़ चले

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - yaad aata hai mujhe mera bachpan

Ye hawa, ye wadiyan, ye sauhana mausam,
yaad aata hai mujhe mera bachpan,
woh yadein mere dil mein simti hui,
dheere-dheere jo hai mit ti hui...

aab tho kuch dhundala sa hi nazar aata hai,
waqt palon mein guzar jata hai,
sochta hoon kabhi hamare din bhi aayenge,
hum milke wahi purana geet gayenge,
hasenge, khelenge, mauj manyenge,
phir apne gharon ko laut jayenge.

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Tanha Hai Mera Haath Tera Haath Chahiye


"Mujhe Khamosh Raahon Main Tera Saath Chahiye

Tanha Hai Mera Haath Tera Haath Chahiye

Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yaqeen To Hy
Tujhko Bhi Mere Lafz Meri Baat Chahiye
...
Main Khud Apni Shairy Ko Kiya Acha Kahun
Mujh Ko Teri Ta'reef, Teri Daad Chahiye

Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai

''Lekin''

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Poetry - Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki Ada Lagte Ho


Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

woh dard aaj phir tumne jaga diya - Urdu Gazal


mere dard-e-dil ki thi woh daastan
jise hansi mein tumne urra diya

jis se bach raha tha main sambhal sambhal kar
woh dard aaj phir tumne jaga diya

mujhe pyar ka shauk na raha
mere dost bhi hai sab bewafa

jo kareeb aaye to zikr hua
jo durr hue to bhula diya

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

jab ye dard nahin hoga


Tumhare ansu kahte hain

koi dard tumhein tarpata hai

aksar tumhein rulata hai

ise tum seh nahin pate

kisi se keh nahin pate

mujhe bas itna kahna hai

tumhare sath hun ab bhi

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Humsafar aa bhi jao - Urdu Poetry


Ansooun ki barish mein bheeg na jaoun kahin mein
Tere anay se pehle mar na jaoun kahin mein

Humsafar aa bhi jao ke baat nahi mere bus ki
Reh jaoun na tanha bin tumhare kahin mein

Tujhko kia khabar katay hain kitnay rat-jagay mein ne
Khuli aankhon se dunia se rukhsat ho na jaoun kahin mein

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Uski Adaayein Hai Mausam Ki Taraah


Gulaabon Se Lipti Shabnam Ki Taraah
Uski Adaayein Hai Mausam Ki Taraah

Sheeshe Sa Badan Naadaan Dil
Ek Ladki Hai Gazal Ki Taraah

Palkon Pe Ruki Woh Meri Zindagi
Milti Hai Mujhse Khwabon Ki Taraah

Khafa Jo Mujhse Bhaiti Hai Door
Chaahaa Hai Usey Zindagi Ki Taraah

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Khud apne liye baith k sochenge kisi din


Khud apne liye baith k sochenge kisi din
yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din

bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya vaqt to likkhenge kisi din
...
hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam
ye khaknashin log jo bolenge kisi din

apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt
har bat ye kahae hain k baithenge kisi din

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Ye Dil Tum se Pyaar karna chahta hai


Ye Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Iqraar karna chahta hai

Jab se dekha hai Tum ko Ae Sanam!!
Bas Tumhara hi Dedaar karna chahta hai

Logon se sunte the Mohabbat ke Afsaane
Khuwaab Hum ne bhi dekhhe the Suhaane

Pyaar kya hai ? Hum aksar sochte the
Is Baat se Hum apne Dil ko rokte the

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Ulfat ke fasaane ki na baat karo hum se


Ulfat ke fasaane ki na baat karo hum se,
Is dil ko dukhaane ki na baat karo hum se,

Ik aur bhi hae armaan mehboob tumhein dekhoon,
Bekaar bahaane ki na baat karo hum se,
...
Ik chout lagi dil per ik aah ubhar aai,
Yeh zakhm chhupaane ki na baat karo hum se,

Jis dil mein basaaya tha woh torr diya tum ne,
Is ghar ko banaane ki na baat karo hum se,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Who larki chaand ka tukra hai


Who larki chaand ka tukra hai
Phoolon sa jis ka mukhra hai
Pairoon sa jis ka anchal hai
Jo badloo ki oout say takti hai
Hawaon ki halchal mai palti hai
Who larki kanwal si nazuk hai
Mehek us ki hawaon mai lipti hai
Merai saanson ki halchal hai
Who barishoon sa jal thal hai
Woh andehrey ratoon main
Roshani ki halchal hai

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Mohabbat ko agar samjho


Mohabbat
Is tarah jaise gulab titliyon ke par
Mohabbat
Zindgani ki jabeen-E-naz ka jhoomar
Mohabbat
Aarzoo ki seep ka anmol sa gauhar
Mohabbat
Aarzoo ki dhoop mein ummeed ki chaadar
Mohabbat
Hai tere gesoo teri palkein teri aankhein

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Barson Ke Intzaar Ka Anjaam Likh Diya


Barson Ke Intzaar Ka Anjaam Likh Diya
Kagaz Pe Shaam Kaat Ke Phir Shaam Likh Diya

Bikhri Pari Thi Toot Ke Kaliyaan Zameen Par
Tarteeb De Ke Maine Tera Naam Likh Diya

Aasaan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Daastaan
Jo Aansuon Ne Aakhri Paigaam Likh Diya

Allah! Zindagi Se Kahan Tak Nibhaoon Main
Kis Bewafa Ke Saath Mera Naam Likh Diya

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Mujhe achhe lagne lage tum


Mujhe achhe lagne lage,
dil ke sachhe lagne lage tum
Door se hi, apne se lagne lage tum

Tumhare hasne ka andaaz,
baat karne ki adaa
Kar chuki hai mujhe tumpar fida

Nazar mila kar tumhara nazar churana,
yun hi bahane banana
Bana chuka hai mujhe tumhara deewana

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Tum Kyon Yaad Aate Ho


Har Haseen Mausam ki
Har Haseen Barish mein
Dard Tum Jagaatey Ho
Bewaja Sataatey Ho
Mausam ke lutf ko Tum
Dard Mein Bahaatay Ho
Zindagi Ke Naam Se Tum
Jee Mera Jalaaty Ho
Lutf ke Sabhi Lamhey
Yaad Mein Ganwaatay Ho
Har Haseen Mausam Ki
Har Haseen Barish Mein

TUM KYUN YAAD AATAY HO

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Usko mera halka sa ahsaas to hai


Usko mera halka sa ahsaas to hai
Bedard sahi wo mera hamraz to hai

Wo aaye na aaye mere pass lekin
Shiddat se mjhe uska intezar to hai

Abhi nahi to kya huaa mil hi jayegi kabhi
Mere dil me uske milan ki aas to hai

Pyaar ki gawahi mere aansuwo se na maang
Barsti nahi aankhein magar dil udaas to hai

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Meri Manzil Hai Kidhar Kuchh To Pata Do Mujhko


Ek musabbir ki tarah itna bata do mujhko!
Meri manzil hai kidhar kuchh to pata do mujhko!
Main kisi kaam ka patthar na sahi phir bhi mujhe,
Apni fankaari se hi kuchh to bana do mujhko!
Paav ki thokaron ne likh diya taqdeer meri,
Tum hunar apna dikha karke saja do mujhko!
Hausley tootey 'Adab' raah mein baithe-baithe,
Aik ehsaas mein doobi si sadaa do mujhko!!

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Aansoo Diye Kisine Kisise Mile Fareb - Urdu Poetry


gum ki tabah kaariyon ko kam na kar sake
koi ilaaj hum dil-e-barham na kar sake

dil ke dyar-e-shauq mein jalta hua diya
lo uski khwahishaat ko maddham na kar sake

sazeena-e-hayaat ko chheda to baar baar
sur mein kisi bhi saans ki sargam na kar sake

zakhmon ko mere jo bahut humdardiyaan mili
magar mere dard ka marham na kar sake

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Wo Kahti Hai


Wo Kahti Hai...
Batao Be Sabab Kyon Rooth Jate Ho ?

Main Kahta Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao... Achchha Lagta Hai

Wo Kahti Hai
Mera Dil Tum Se Aakhir Kyon Nahi Bharta ?

Main Kahta Hoon...
Mohabbat Ki Koi Had Hi Nahii Hotii...

Wo Kahti Hai...
Batao...Main Tumhein Kyon Bhaa Gayi Itna ?

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Gazal - Kabhi Mujh Se Lipat Jao Mera Libaas Ban Kar


kabhi sargoshiyoon mein kahe alfaaz bun ker
Alvida-e-shub, kabhi subhooo ka aaghaz ban kar

Kyon aa jate ho mujh ko tum lubhane...
Labon par geet, kaano mein surila saaz ban kar

Kabhi Ho Faaslein Itne Teri Yadein Bhi Na Hon ,
Kabhi Mujh Se Lipat Jao Mera Libaas Ban Kar.............

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Mere Pagal Piya Meri Chahat Na Kar


Mere pagal Piya Meri chahat na kar

Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na kar

Meri Be Khawab Aankhon mein na janka kar

Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda kar...

Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi

Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai

Mien essi leher hun jiss mein Halchal na ho

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home