Search More

Loading

Urdu Poetry - Mausam-E-Dard mein ik dil ko bachaaun kaisey


Ab yeh sochoon to bhanwar zehan mein parr jatay hain
Kaisay chehray hain jo miltay hi bichharr jatay hain

Kiyun tere dard ko dein tauhmat-e-veeraani-e-dil
Zalzalon mein tau bharay shehar ujarr jatay hain

Mausam-E-Dard mein ik dil ko bachaaun kaisay?
Aisi rut mein tau ghhanay ped bhi ujarr jatay hain

Ab koi kya mere qadmon k nishaan dhoonday ga
Taiz aandhi mein tau khaimay bhi ukharr jatay hain

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Baki hai usey mera abhi ahsaas hona bhi


Bahut Ummeed rakhna aur fir be'aas hona bhi,
Man ko maar deta hai bahut ahsaas hona bhi,

Suno ik kaan se aur doosre se fenk do bahar,
Bahut nuksan dey hai saheb-e-ahsaas hona bhi,

Agar tum dikhawe ke liye hi sath ho mere,
Chalo' itna hi kafi hai tumhara paas hona bhi,

Yoon to abr-e-rehmat ki talab karta nahi hoon main,
Zaroori hai muqaddar main zara si pyaas hona bhi,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Mujhe tum yaad aate ho


Mukaddar ke sitaron par,
Zamane ke isharon par,
Udasi ke kinaron par,

Kabhi veeran shehron par,
Kabhi sunsaan rahon par,

Kabhi hairaan aakhon mein,
Kabhi bejaan lamhon mein,

Tumhari yaad chupke se,
Koi sargoshi karti hai,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Gazals - Mohabbat seekh kar karna


Mohabbat seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai,
Gireban taar hota hai,
Kabhi inkar hota hai,
Kabhi ikrar hota hai,

Mohabbar seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat to srabon ki kahani hai,
Dukhon ki raj-dhani hai,
Jo kal ban jayega badal,
Yeh dariya ka woh pani hai,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain


Jab woh the..! Talaash-e-zindagi bhi thi,

Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hai,
Naadaan hai guzre zamaane dhoondte hai,

Jab woh the..! Talaash-e-zindagi bhi thi,
Ab to maut ke thikaane dhoondte hai,

Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha,
Aaj huye se deewaane dhoondte hai,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Gazal - Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya


Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya,
Jhoothi kasam se aap ka imaan to gaya,

Dil leke muft, kehte hai kuch kaam ka nahi,
Ulti Shikayat’ein rahi ahsaan to gaya,

Dekha hai butkade mein jo ae huzur kuch na kuch,
Imaan ki to ye hai imaan to gaya,

Darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main,
Sunsaan ghar ye kyu na ho mehmaan to gaya,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Ek taaj banakar mujhko tum Har pal sar par rakhna Maa


Ek taaj banakar mujhko tum
Har pal sar par rakhna Maa ...

Le jaye na mujhko koi kahin
Mujhe chhupaye apni bahon me rakhna Maa ...

Jo mamta me had se gujar jao kabhi
Mera naam tum apne geeton me rakhna Maa ...

Main karta hoon ahsaas tumhara har pal
Tum yaad mujhe bas dil me rakhna Maa ...

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Sari zindagi ek bewafa ke naam karte hain


Iss duniya k bassi b ajab ajab se kaam kartay hain,
Sari zindagi ik bewafa k naam karty hain,
Kar letay hain un ki soch mein khud ko gum-naam,
Aur phir khud ko un mein talash karty hain,
Khud kho jatay hain madhoshi k aalam mein,
Aur zindagi ko un k naam karty hain,
Chaltay phirtay har shakhs ko dekh kar us k,
Saye mein b un ko talash karty hain,
Khayalon ki to baat rahi aik taraf,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Chalo ik aur duniya mein Tumharay saath chalte hain


Chalo ik aur duniya mein,
Tumharay saath chaltay hain..

Jahan haLaat Kuchh bhi hon,
Magar hum saath rahte Hon..

Jahaan mausam koyi bhi Ho,
Judayi Ka Na Ho lekin..

JahaN CHAAND bhi tum ho,
Jahan Suraj,
HAWA, ROSHNi,
KHUSHBUON Ka, Rang Tum Se Ho..

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - main us se pyaar karun


koi to ho jo meri soch ko kitäb karay

aur apne lafz mere naam intisäb karay

main apni chändni raatoN mein us k geet likhuN

wo mere dard k sehra ko phir chanaab karay

main us se pyär karun aur be-kinär karun

wo mujh pe zulm karay aur be-hisäb karay

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - USI KO YAAD KARTA HOON


Usay itna bata dena

Mein us se door ho kar bhi..

Boht majboor ho kar bhi..

Dukhon se choor ho kar bhi..

" USI KO YAAD KARTA HUN "

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Shayari - Jo tere Ishq me khoye to phir pata na raha


Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha

Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha

Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Tere chehre me maasoom sa bachcha nazar aata hai


Tere chehre me maasoom sa bachcha nazar aata hai
Muskura kar dekhna mujh ko, dil pe qehar dhaata hai

Jabeen par bikhar jaati hain teri zulfen jo pareshaan si
Apni unliyon se sanwaaroon, mann ye behek jaata hai

Ankhon main machalti hui shokhiyan, woh sharartain
Woh tera bachpan har baar mujh ko qatl kar jaata hai

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Ishq ke khumaar ki baat kya kahiye


Ishq ke khumaar ki baat kya kahiye
dil kae qaraar ki baat kya kahiyae

Sare jahan main bas lagta hai wo hasin
Us dilbar kae andaaz ki baat kya kahiyae

Surur hi surur hai nasha hi nasha hai
kaise kat-tae hain din-raat kya kahiyae

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Asar ho raha hai mohabbat ka aaj phir


asar ho raha hai mohabbat ka aaj phir

aaj phir main nagme gungunaane laga hun

pahle main darta tha mohabbat k khel se

ab phir se baazi lagaane laga hun

jiski talaash thi mujhe hamesha

kya tum sachmuch wahi ho

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - meri mohabbat tum ho


Tum ne poocha tha kabhi

kya maine mohabbat ko dekha hai

mohabbat to ahsaas hai bas

mohabbat chehra nahi rakhtii

Lekin

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Gazal - Bas itni si inaayat mujh pe ek baar kijiye


Bas itni si inaayat mujh pe ek baar kijiye,
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye.....

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapke hain aapke rahenge aitbaar kijiye

Padne waale hi darr jaayein dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Main wohi hoon jise tum Pyaar kia karte they


Main wohi hoon, jise tum Pyaar kia kartey they,
Din Mein sau baar mera Naam liya kertey they,
Aaj kya Baat hai kyon mujhse Khafa Baithey ho,
Kya Kisi aur Ka Dil, Apna bana Baithey Ho,
Faasley Pahle bhi they lekin itne na hua kertey they,
Main wohi hoon, jise tum Pyaar kiya kartey they.........

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Dukh Dard Ke Maaron Se Mera Zikar Na Karna


Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar?
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say?
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Tum Kya Jano Jogi Hoon Ya Alakh Jagata Jugnu Hoon


Sapno Ke Madhosh Fiza Ka Sabz Sunhara Jadoo Hoon,
Tum Kya Jano Jogi Hoon Ya Alakh Jagata Jugnu Hoon........

sannate Ki Kabra Se Uthkar Raat Ki Bhul- Bhulaiya Me.
Sadiyo Se Jo Bhatak Raha Hai Main Us Khwaab Ki Khusboo Hoon

Tajmahal Humraj Hai Lekin Aap Na Samjhengi Shayad
Sangmarmar Ki Aankho Ka Ek Tapakta Aansu Hoon

Dekh Kahin Chhoo Jaye Na Mujhse Koi Kinara Aanchal Ka
Jisse Dhuaan Barf Banu Main wo Aag Bhari Lu Hoon

Ek Dooje Ki Zid Hai Par Aapas Me Kaisa Sanyog
Tum HO Chaand Badan Ladki Main Kaley Rang Ka Jadoo Hoon

Jiske Sang Khushi Se Nache Mandir Masjid Maikhane
Tere Pair Ki Jhanjhar Ka Wo Shor Machata Ghunghru Hoon



-------------------------------------------
Gazals, Hindi Poetry, Urdu Poetry, Shayari,
-------------------------------------------

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha


Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha….
Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha….

Us ki aadat ka zara ye pehlo to dekho….
Mujh se kiay vaaday wo kisi aur se nibhata raha….

Kuch khabar nahi wo kya chahta tha?….
K taaluq tor kar bhi mujh ko aazmata raha….

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazals - daaman e zabt bhigo dene ko ji chahta hai


daaman e zabt bhigo dene ko ji chahta hai
itna tanhaa hoon k ro dene ko ji chahta hai

saans ki dor salamet hai abhi tak shayad
ab ye ahsaas bhi kho dene ko ji chahta hai

aik gumnam musafir ki tarah chupke se
khud ko is bheerr main kho dene ko ji chahta hai

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Kya Kya Baatein Wo Apni Tehreer Me Likhti Hai


Kya Kya Baatein Wo Apni Tehreer Me Likhti Hai,
Ek Nayi Takdeer Meri Takdeer Me Likhti Hai,

Wo Aisi Hamdard Ke Apne Pyar Ke Saare Lafz
Mere Haathon ki Lakeer Me Likhti Hai,

Koi Raaz Chhupana Shayad Pasand Nahi Usey,
Wo Apna Har Khwaab Khuli Taabeer Me Likhti Hai,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Dil mein ik chubhan si hai tum kaheen se aa jaao


Dil mein ik chubhan si hai,tum kaheen se aa jaao
Har taraf agan si hai,tum kaheen se aa jaao

Gam ki bheegi raaton mein apna dil nahin lagta
Aankh mein pawan si hai,tum kaheen se aa jaao

Ab khuli fiza mein bhi saans lena mushkil hai
Ab ajab ghhutan si hai,tum kaheen se aa jaao

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya


Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya,

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya

Duniya ki is bhag daud me kho chuka tha riste sab
Aaj phir un riston ko ek sire se sanjone ka mann kiya

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Kavita - Har raat ko chaand ka sringar nahi milta


Har raat ko chaand ka sringar nahi milta
Har dali ko phoolon ka pyar nahi milta

Armaan bahut hoote hain iss dil mein par
Har kisi ko man chaha sansar nahi milta

Kasti too bahut firati haiN lehrooN meiN
Har kasti ko kinaroN ka pyar nahi milta

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai


Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai
Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai

Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzaari Hai
Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai

Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge
Kuch Apna Dil Jalayein Ge, Kuch Unnko Aazmayein Ge

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Har bar dua ko jab hath uthaya


Har bar dua ko jab hath uthaya.

Kuch apne liye dil na mang paya

Aankhen band ki to jane kyun

Sirf tera hi chehra nazar aaya


Sochte rahe raat bhar tujhe hi

Hum karwat badalte rahe yunhi

Par na dil ko kahin karara aaya

Har or bas tujhe hi tadapta paya

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazals - Ashkon Ki Barsaat De gaye Wo Jaate Jaate


Ashkon Ki Barsaat De gaye Wo Jaate Jaate,
Aahon Ki Saugaat De gaye Wo Jaate Jaate.........

Dil Ne Chaha Tha Bhar Lenge Use Baahon Me,
Aarzuon Ki Bouchhar De gayee Wo Jaate Jaate.

Badhaya Jo Khadam Maine Use Chhune Ke Liye,
Rahao Me Kanten Bikhair Gayee Wo Jaate Jaate.

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Mujhe Kahin Aur Le Chal


Mujhe Kahin Le Chal
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*


Mujhe Kahin Aur Le Chal ..........

Jahan Raat Kabhi Soyi Naa Ho
Jahan Subha Kisi Par Royi Naa Ho
JahanHijr Ki Wehshat Boyi Naa Ho
Jahan Kisi Ka Koi Khoya Naa Ho

Mujhe Aur Kahin Le Chal........ ..

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Meri Raatein..Teri Yaadon se saji rahti hain


Tum ko Maloom Bhi Shayad Ye Kabhi Ho K Na Ho

Meri Raatein..Teri Yaadon se saji rahti hain
Meri Saansein Teri Khushboo mein basi rahti hain

Meri Aankhon mein Tera Sapna saja rahta hai
Haan Mere Dil mein Tera hi Aks basa rahta hai

Is tarah Mere Dil ke bahut Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-E-Rag ke Khuda rahta hai

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Mujhe Pyaar Huya


Ye Yaad Nahi Kya
Kuchh Khoya
Bus Yaad Raha
Mujhe Pyaar Huya,

Jub Pyaar Huya
Sab Bhool Gaye
Ek Yaad Raha
Bas Naam Tera,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Na hota kahin gareeb aur laachaar insaan


Hota gar khuda to yeh bhookh ye bimari na hoti
saari khudayi yoon zillat ki maari na hoti

Na hota kahin gareeb aur laachaar insaan
Mahgayi me ye kala bazaari na hoti

Na hota gamgeen koyi uski saltanat me
Is tarah muqaddar ki khwaari na hoti

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Har ghadi roshni charago se ho mumkin nahi

Har ghadi roshni charago se ho mumkin nahi
Andhere unki kismat me bhi der raat hote hain

khayaal noor ka paya tha hamne khwaabon me
Andhere raaste taabeer bante dekhe hain

kami sukoon me paayi na hamne raato ko
Yahi wo pal hai sitare bhi tootte dekhe

Ajab khayaal se raaton ko mujhko aate hain
Kahi pe neend bhi uski toh so gayi hogi

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - bura naseeb nahi hai toh kya kahu isko


Mila tha mujhko badi minnaton k baad jaha
wahin hain aakhiri mulakaat kya kahu isko

mere naseeb ki baarish kahi pe or giri
bura naseeb nahi hai toh kya kahu isko

mere rakeeb bhi maange hain khair khwaah meri
ajeeb halaat na kahu toh kya kahu isko

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Na Koi Rang Na Haathon Pe Hina Merey Baad


Na Koi Rang Na Haathon Pe Hina Merey Baad
WO Mukammal Hi Siya Posh Huwa Merey Baad

Le Ke Jata Raha Har Shaam Wo Phool Or Chirag
Bas Yahi Us Ne Kiya, Jitna Jiya Merey Baad

Roz Ja Kar Wo Samandar Ke Kinarey Chup Chaap
Nao Kagaz Ki Bahata Hi Raha Merey Baad

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Dasht Mein Pyaas Buhjatey Huye Mar Jatay Hain


Dasht Mein Pyaas Buhjatey Huye Mar Jatay Hain
Hum Parinday Kaheen jatay Huye Mar Jatay Hain

Hum Hain Sookhay Huye Talaab Pay Baithay Huye Hans
Jo Taulluq Ko Nibhatay Huye Mar Jatay Hain

Ghar Pahunchta Hai Koi aur Humaray Jaisa
Hum Teray Shaher Se Jatay Huye Mar Jatay Hain

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Umar bhar Khud se Judayi ka gila karna hai


Kaun kehta ha tujhay khud se juda karna hai
Umar bhar Khud se Judayi ka gila karna hai

Tu tasawur mein ha, gunaho'n se sharm aati ha
Yaad mat Aawo,mujhay Aik Gunaah karna hai

Dunya daari se jo fursat mili tou souche'n gey
Ke wafaa unko koi ehd-e-wafaa karna hai

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Phir kisi yaad ne shabb bhar hai jagaya mujhko


Phir kisi yaad ne shabb bhar hai jagaya mujhko
Kya saza di hai mohabbat ne khudaya mujhko

Din ko aaraam hai na raat ko hai chain abhi
Janey kis khak se qudrat ne banaya mujhko

Dukh to ye hai k zamaney me miley gair sabhi
Jo mila hai wo mila bann k paraya mujhko

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Tumhein Main Bhool Jaoonga Magar Wada Nahi Karta


Tumhein Main Bhool Jaoonga, Magar Wada Nahi Karta
Hamesha Muskuraoonga, Magar Wada Nahi Karta

Tumhari Har Nishani Ko Main Dariya Burd Kar Doonga
Tumharey Khat Jalaoonga, Magar Wada Nahi Karta

Tumhara Zikar Mahfil Mein Huwa To, Khamosh Rahna Hai
Main Khud Ko Aazmaoonga, Magar Wada Nahi Karta

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Usey apne rishton ki fikir thi


Usay apne rishton ki fikir thi wo jo mera waqif-e-haal tha
woh jo uski subah-e-urooj thi woh mera waqt-e-zawal tha

meri baat kaisey wo manta mera dard kaisey wo janta
wo tu khud fana k safar pe tha usay tu rokna b muhaal tha

kahan jao ge mujh chor kar main pooch pooch ke thak gaya
wo jawab mujh ko na de saka wo tu khud sarapa-e-sawal tha

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Ussey kahna


Ussey kahna....
Abhi tak dil dharakta hai
Abhi tak saans chalti hai
Abhi tak meri ye aankhein
Suhaney khawaab bunti hain
Merey honthon ki jumbish mein
Tumhara naam rahta hai
Abhi barish ki boondon mein
Tumhara pyaar baqi hai
Ussey ye bhi bata dena

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Wo Khuwaab tha bikhar gaya


Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin


har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin


wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Haath aankhon pe rakh lene se


Haath aankhon pe rakh lene se Khatraa nahi jaataa
diivaar se bhuuchaal ko rokaa nahiin jaataa

daavoN kii taraazuu meN to azmat nahiiN tultii
fiite se to qirdaar ko naaNpaa nahiiN jaataa

farmaan se peRoN pe kabhii phal nahiiN lagte
talvaar se mausam ko’ii badlaa nahiiN jaataa

chor apne gharoN meN to nahiiN naqd lagaate
apnii hii kamaa’ii ko to luuTaa nahiiN jaataa

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Din Guzartay Hain Kaha, Raat Kaha Hoti Hai


Din Guzartay Hain Kaha, Raat Kaha Hoti Hai
Dard Kay Maron Say Ye Baat Kaha Hoti Hai

Ak Say Chehray Tu Hotay Hain Is Dunya Main
Ak See Sorat -e- Halaat Kaha Hoti Hay

Zindagi Kay Kesi Morr Pay Wo Milay Gaye
Mil Tu Jatay Hain Mulaqat Kaha Hoti Hay

Aasmano Say Koii Boond Nahi Barsay Gi
Jaltay SehraO Main Barsaat Kaha Hoti Hay

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Shokh hontho pe tabasum ki gulabi chamki


Phool bulbul ko, shama chahiye parwaaney ko
Ek zanjeer bahut hai tere deewaney ko

Shokh hontown pe tabasum ki gulabi chamki
Thamiye dil ke qayamat hay kaheen aaney ko

Jism ka jaan sey rishta hay bara hi nazuk
junbish-e lab bhi giraaN haey tere Deewaney ko

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Jis Din Se Tum Bichhar Gaye


Raat Ke Sannatey Mein Hum Ne Kya Kya Dhokhey Khaye Hain,
Apna Hi Jab DIL Dharka To Hum Samjhe Wo Aaye Hain !

Band Jharokhey, Sooni Galiyaan, Ya Phir Ghum Ke Saaye Hain,
Chaand Sitarey Nikley Lekin Merey Liye Kya Laaye Hain !

Jis Din Se Tum Bichhar Gaye Ye Haal Hai Apni Aankhon Ka,
Jaise Do Baadal Saawan Ke Aapas Mein Takraye Hain !

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Mujhy jeene ki ummeed dobara de do


Mujhy jeene ki ummeed dobara de do,
Meri doobti kashti ko kinara de do,

Main dard k sahil pe tanha khara hoon,
Phir aa k apni baahon ka sahara de do,

Tera daaman to bhara hai sitaaron se,
Mujhe sadqe me ek sitara de do,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazals - Apna Usey Banana Gar Mere Bas Me Hota


Apna Usey Banana Gar Mere Bas Me Hota,
Laut Aata Laut Aana Gar Mere Bas Me Hota...

Aankhon Mein Unki Jata Surat Badal Badal Kar,
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota...

Chehre Ko Muskurahat Se Mai Sajaye Rakhta,
Aye Yaar Muskurana Gar Mere Bas Me Hota...

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Zara Thahro... Chaley Jana


Zara Thahro... "Chaley Jana",
Mujhe Kuchh.. "Tum Se Kahna Hai",
Zyada.. "Waqt Nahi Loonga",
Zara Si.. "Baat Karni Hai",

Na Dukh.. "Apney Suna ney Hain",
Na Koi.. "Fariyaad Karni Hai",

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - ek bhujhta hua diyaa hu mujhe bhool jayie


ek bhujhta hua diyaa hu mujhe bhool jayie,
bas thahra hua dariyaa hu mujhe bhool jayie.
tamam jindagee main maut se bhagta raha,
ab main thak gayaa hu mujhe bhool jayie.
na manjil milegi koi na hi koi maud aayega,
main ek aisa rastaa hu mujhe bhool jayie.
muddato jalta raha hu main aapki judaee mein,
suraj tha dhal chukaa hu mujhe bhool jayie....

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - aaj tak haath mein mahfooz hai patthar mera


har ghari khud se ulajhna hai mukaddar mera,

main hi kasti hu mujhi mein hai samandar mera.

kisse poochhu ki kaha hu gumm barso se,

har jagah dhoonta firta hai mujhe ghar mera.

ek se ho gaye hai mausmo ke chehre sare,

meri aankhon mein kahi kho gaya manjar mera.

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - ab aansuo ko aankhon mein sajanaa hoga


dhoop ke saath gaya saath nibhane wala,
ab kaha lout ke aayega wo mujhse door jane wala.
ret par chhod gaya naqsh hazaro apne,
kisi pagal ki tarha naqsh mitane wala.
sabz sakhein kabhi aise nahi cheekhti,
kaun aaya hai pareendo ko darane wala.
ab to aaram kare sochti aakhein meri,
raar ka akhiri tara bhi hai ab jane wala....

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Pyaar karke bhi na samjhe wo mohabbat ki zubaan


'' Pyaar karke bhi na samjhe wo mohabbat ki zubaan,
unko batayein kaun ki pyaar ki kimat kya hai...
humne dekha jo mila humko wafaao ka silaa,
ab dekhli humne jahan walo ki fitrat kya hai...
humne har saans pe unhe dil se duaa di hai,
wo phir bhi kahte hai is dil pe inayat kya hai...
jab guzri ye musibat humpe to ahsas ho gya,
ki ishq kahte hai kise ishq ki lazzat kya hai....

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Marne ke bad meri ye kahani likhna


Marne ke bad meri ye kahani likhna
Kaise huee barbaad meri ye jawani likhna.
Ye likhna usey intizar bahut tha kisi ka,
Aakhri saans ki kaise huee rawani likhna.
Jo qasmein khaee thi pyaar mein usne,
Un qasmoon ka kya huaa us per mehbani likhna.
Ye bhi likhna ke uske labb khushi ko taras gay hain,
Aur Kitna barsa un Aankhon se pani likhna.
Aur ye bhi likhna duaa deta tha har waqt tujhe
Bahar tha kafan se haat ye nishani likhna….. ......!!

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Koi ehsaas bhi usko yaad nahi


Koi ehsaas bhi usko yaad nahi
Koi baat bhi usko yaad nahi,
Ek shaksh ne usko chaha tha,
uske zazbaat bhi usko yaad nahi,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis me bheegay the,
Wo barsat bhi usko yaad nahi,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - suna hai mohabbat zindagi tabah karti hai


suna hai mohabbat zindagi tabah karti hai,
hum bhi khud ko mitaa ke dekhenge..

suna hai ishq ek aag ka dariya hai,
hum bhi khud ko jalaa ke dekhenge..

suna hai raaten karwaton me guzarti hain,
hum bhi apni neende udaa ke dekhenge..

suna hai ek ajeeb sa nasha hai yeh chahat,
hum bhi apne hosh gavaa ke dekhenge..

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - Na tujhe chhod satke hai


Na tujhe chhod satke hai, tere ho bhi nahi sakte,
ye kaisi bebasi hai ki hum ab ro bhi nahi sakte...

ye kaisa dard hai jo pal pal mujhe tadfaata hai,
teri yaad aati hai to fir hum so bhi nahi sakte...

chhoopa sakte hai na hi dikha sakte hai kisi ko,
kuch daag aise hai dil pe jinhe hum dho bhi nahi sakte..

kaha tha ki chhod denge hai ye duniya magar rukk gaye,
kyoki tujhe paa to nahi sake magar kho bhi nahi sakte.......!!!!!!

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Urdu Poetry - wo chand ab chhup gaya


wo chand ab chhup gaya,
mujhe raat sonpkar..
aankho ko intezar ke,
kuch lamhaat sonpkar...

ek shaks tha jo,
mujhse bichhad gaya,
meri ankho ko ashqo ki,
barsaat sonpkar....

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - wo college ki sidhi par pyaar bhari batein


wo college ki sidhi par pyaar bhari batein,,,,,
wo syllabus ki tension wo exam ki ratein........
wo canteen ki party wo birthday ki latein ...
wo ruthna wo manana, wo bank, wo mulakatein..
wo lab, wo library, aor wo sona temporary.........
wo movie, wo music, wo card ke magic......
wo proposal ki planing mein raat ka guzarna,,,,,
phir class mein peechhe ki seat pe so jana..........
wo liabrary me jakar chehro ko padhna,,,,,,,,,,
betuki baaton ko seriously le lena.......

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazals - Ajeeb Sa Iss Dil Me Ek Ahsaas Hai


Agar Tapakta Jo Ashkon Ki Jagah
Lahoo Aankhon Se..

To Koi Kisi Ko Fir,
Shayad Hi Rula Pata

Mere Dil Ke Tutne Ki Hoti,
Jo Agar Aaawaaz..

To Tumhe Mere Dil Ke Dard Ka,
Andaza Ho Pata...

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Ek Pal Bhi Teri Yaad Dil Se Jati Nahi


Ek Pal Bhi Teri Yaad,
Dil Se Jati Nahi...
Tere Saath Ke Bina Zindagi,
Bhi Raas Aati Nahi...

Har Dam Har Pal,
Yahi Ehsaas Hota Hai...
Ki Agar Tu Hoti To,
Har Pal Jane Kaise Hota...

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazals - aankho me meri tum to aansu ban jate ho


aankho me meri tum to aansu ban jate ho
dil mai mere tum to dhadkan banjate ho

sanso mai meri tum to har pal rahente ho
ruh mai meri tum to lahu banke bahete ho

yaad aate ho,tadpate ho,rulate ho,hunsate ho
tum itna yaad aate ho sabko bhulate ho

chahat mai tumhari tum to bahot tadpate ho
pyaar mai tumhare tum to diwana banate ho

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Maana Ke Main Ameer Nahi


Badnaseeb Bhi Nahi Par
Mera Naseeb Bhi Nahi,
Maana Ke Main Ameer Nahi
Par Garib Bhi Nahi,
Dil Ki Gahraaiyon Mein
Chhipaya Hai jisey,
Woh Door Bhi Nahi Mujhse
Par Kareeb Bhi Nahi,
Chahta To Hoon Dena Usko
Khushiyaan Saare Jahan Ki,
Par Mil Jaayein Unke Gam
"Sam" Itna Khushnasib Bhi Nahi

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Dil mai hai dard ke toofaan kayi


Ae dost aaj tere sawaalon ke jawaab mai de na paai,
Kaise de deti tujhe wo jawaab jisme chhupi thi meri daastaane gum saari,
Dil mai hai dard ke toofaan kayi,
Aur aankhon mai hai summandar ka paani,
Na jaane kyon dard nikala na baahar aaj banke lafz meri zubaani,
Jaane kaise tu aaj samjha na mere khaamosh dil ki kahaani,
Kaise kar deti bayaan wo lamha jo guzara hai mujhpe,
Uasme to ae dost hoti mere Pyaar mere Dil-Bar ki ruswaai,
Samjhaaun kaise tujhe ki chaah kar bhi zubaan aaj tujhase kahe na paai ki,
Sanam ne hi mere mujhe aaj chot kaisi hai lagaai,

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Jo Murjhe na kabhi, Wo Gulab de mujhko

Jo Murjhe na kabhi,
Woh Gulab de mujhko,
Teri yaado se mehki,
sharaab de mujhko!
Bas tera naam ho, teri baat ho,
ho tera zikr, ek aisi koi,
kitaab de mujhko!
Tu pass ho dil ke agar,
Dil ka dhadakna kuch bhi nahi,
teri yaad ke aage chaand taaro ka
chamakna kuch bhi nahi,
kwaab mein aaye jo kabhi,
roshan bane aankhon ki zameen,
tera kwab ho aankho mein agar
chand ka zameen par utarna kuch bhi nahi!

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Jo rahtey hain sada dil me

Gazal
******

Jo rahtey hain sada dil me, unhein dhoondha nahi kartey
Jo rach jaye rag-o-pey me, unhein socha nahi kartey

Baharon ke ghaney saye me talkhi bhi chubhan bhi hai
Ghamon ki dhoop ka tumsey magar shikwa nahi kartey

Nahi aatey kabhi bhi laut kar guzrey huye mausam
Barstey badlon ki aas me tarsa nahi kartey

Tajassus aur barhta hai, machal jatey hain sun kar hum
Achanak pyaar ki baaton ka rukh moda nahi kartey

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Urdu Poetry - Shikwe Sunaya Karta Hoon Teri Tasveer Ko

Shikwe Sunaya Karta Hu'n Teri Tasvir Ko
Dukh Bataya Karta Hu'n Teri Tasvir Ko

Jab Chain Se Sone Nhi Deti Teri Yaad
Sath Jagaya Karta Hun Teri Tasvir Ko

Chor Jati Hai Jab Sari Duniya Mujhe
Pas Bithaya Karta Hu'n Teri Tasvir Ko

Mile Jitne Bhi Teri Wafa Me
Sab Dikhaya Karta Hu'n Teri Tasvir Ko

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry- Mujhse Itnay Qareeb ho Jao

HUM PAGAL CHAND KO PANAY CHALAY THAY,
HAMAIN KYA KHABAR THI KHUD KO RULANAY CHALAY THAY,
AB TAU DAMAN MAI BUS YAADIEN HI PARI HAIN,
BAWAFA HO KAR BHI BEWAFA KEHLWANAY CHALAY THAY,
HAMAIN THUKRA KAR ROTA TAU WO BHI HOGA,
JIS SAY HUM SACHI MUHABBAT NIBHANAY CHALAY THAY,
AB JO KHUWAB TOOTAY HAIN TAU YE EHSAAS HUWA,
HUM SAMANDER KINARAY MEHAL BANANAY CHALAY THAY,
DIL DHUKAYA HE TUM NAY PER SADA KHUSH RAHO,
HUM TERI RAAHOUN MAI PHOOL BECHAANAY CHALAY THAY......

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazals - Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya

Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya,
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya,

Usay Rokta B To Kis Tarah,
K Wo Shakhs Etna Ajeeb Tha,

Kabhi Tarap Utha Meri Aah Se,
Kabhi Ashk Se Na Pighal Ska.!

Sar-E-Rah Mila Wo Agr Kabhi,
To Nazar Chura K Guzar Gya,

Wo Utar Gaya Meri Ankh Se,
Mere Dil Se Kyun Na Utar Ska.

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Gazal - Bujhta hua charagh hawaon se lar Gaya

Main jaan ba-lub tha asoolon pe Arr Gaya.
Bujhta hua charagh hawaon se lar Gaya..

Kis kis ka sath de koi melay ki bheer mein,
Phir youn hua k wo bhi Achanak bichar Gya..

Main ne qadam barhaye jo sehra ki traf,
Ghabra k mera saaya meray paon parr gya..

Us aainay k aks ultay thay sub k sub,
Mujh ko ye weham tha mera chehra bigar Gya..

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Hindi Poetry - Band ankho me tera chehra bhi hai

Band ankho me tera chehra bhi hai
aur zehen me teri yad
mere har pal me tri maujudgi bhi hai
aur har pal me tera sath
par na jane kyu sab adhura sa lagta hai
bin tere kuch acha bhi nhi lagta
sath tere sab kuch
khushnuma ek pal bhi nahi gujarta
aur sath tere har pal
tumhe in ankho me churane ko dil karta hai
chehre ko mayusi chhu gyi hai

Subscribe To Get Latest Poetry in Mail

Previous Wallpapers Next Wallpapers Home